ham  hī  meñ  thī  na  koī  baat  yaad  na  tum  ko  aa  sake
tum  ne  hameñ  bhulā  diyā  ham  na  tumheñ  bhulā  sake
tum  hī  na  sun  sake  agar  qissa-e-ġham  sunegā  kaun
kis  kī  zabāñ  khulegī  phir  ham  na  agar  sunā  sake
hosh  meñ  aa  chuke  the  ham  josh  meñ  aa  chuke  the  ham
bazm  kā  rañg  dekh  kar  sar  na  magar  uThā  sake
raunaq-e-bazm  ban  ga.e  lab  pe  hikāyateñ  rahīñ
dil  meñ  shikāyateñ  rahīñ  lab  na  magar  hilā  sake
shauq-e-visāl  hai  yahāñ  lab  pe  savāl  hai  yahāñ
kis  kī  majāl  hai  yahāñ  ham  se  nazar  milā  sake
aisā  ho  koī  nāma-bar  baat  pe  kaan  dhar  sake
sun  ke  yaqīn  kar  sake  jā  ke  unheñ  sunā  sake
ijz  se  aur  baḌh  ga.ī  barhamī-e-mizāj-e-dost
ab  vo  kare  ilāj-e-dost  jis  kī  samajh  meñ  aa  sake
ahl-e-zabāñ  to  haiñ  bahut  koī  nahīñ  hai  ahl-e-dil
kaun  tirī  tarah  'hafīz'  dard  ke  giit  gā  sake