ye  mulāqāt  mulāqāt  nahīñ  hotī  hai
baat  hotī  hai  magar  baat  nahīñ  hotī  hai
bāryābī  kā  burā  ho  ki  ab  un  ke  dar  par
agle  vaqtoñ  kī  mudārāt  nahīñ  hotī  hai
ġham  to  ghanghor  ghaTāoñ  kī  tarah  uThte  haiñ
zabt  kā  dasht  hai  barsāt  nahīñ  hotī  hai
ye  mirā  tajraba  hai  husn  koī  chaal  chale
bāzi-e-ishq  kabhī  maat  nahīñ  hotī  hai
vasl  hai  naam  ham-āhañgī  o  yak-rañgī  kā
vasl  meñ  koī  burī  baat  nahīñ  hotī  hai
hijr  tanhā.ī  hai  sūraj  hai  savā  neze  par
din  hī  rahtā  hai  yahāñ  raat  nahīñ  hotī  hai
zabt-e-girya  kabhī  kartā  huuñ  to  farmāte  haiñ
aaj  kyā  baat  hai  barsāt  nahīñ  hotī  hai
mujhe  allāh  kī  qasam  sher  meñ  tahsīn-e-butāñ
maiñ  jo  kartā  huuñ  merī  zaat  nahīñ  hotī  hai
fikr-e-taḳhlīq-e-suḳhan  masnad-e-rāhat  pe  hafīz
bā.is-e-kashf-o-karāmāt  nahīñ  hotī  hai