kam-baḳht  dil  burā  huā  tirī  aah  aah  kā
husn-e-nigāh  bhī  na  rahā  gaah  gaah  kā
chheḌo  na  mīThī  niiñd  meñ  ai  munkar-o-nakīr
sone  do  bhaa.ī  maiñ  thakā-māñda  huuñ  raah  kā
mere  muqallidoñ  ko  mirī  rāh-e-shauq  meñ
har  gaam  par  nishān  milā  sajda-gāh  kā
dil  sā  gavāh  hashr  meñ  aa  kar  phisal  gayā
ab  rahm  par  muāmla  hai  dād-ḳhvāh  kā
kis  muñh  se  kah  rahe  ho  hameñ  kuchh  ġharaz  nahīñ
kis  muñh  se  tum  ne  va.ada  kiyā  thā  nibāh  kā
dil  lene  vaalī  baat  isī  dil  se  pochhiye
mālik  yahī  hai  mere  safed  o  siyāh  kā
pesh-e-ḳhudā  chalo  to  maza  jab  hai  ai  'hafīz'
na.ara  ho  lab  pe  ashhado-an-lā-ilāh  kā