arz-e-hunar  bhī  vaj.h-e-shikāyāt  ho  ga.ī
chhoTā  sā  muñh  thā  mujh  se  baḌī  baat  ho  ga.ī
dushnām  kā  javāb  na  sūjhā  ba-juz-salām
zāhir  mire  kalām  kī  auqāt  ho  ga.ī
dekhā  jo  khā  ke  tiir  kamīñ-gāh  kī  taraf
apne  hī  dostoñ  se  mulāqāt  ho  ga.ī
yā  zarbat-e-ḳhalīl  se  but-ḳhāna  chīḳh  uThā
yā  pattharoñ  ko  ma.arifat-e-zāt  ho  ga.ī
yārān-e-be-bisāt  ki  har  bāzī-e-hayāt
khele  baġhair  haar  ga.e  maat  ho  ga.ī
be-razm  din  guzār  liyā  ratjagā  manāo
ai  ahl-e-bazm  jaag  uTho  raat  ho  ga.ī
nikle  jo  mai-kade  se  to  masjid  thā  har  maqām
har  gaam  par  talāfi-e-māfāt  ho  ga.ī
hadd-e-amal  meñ  thī  to  amal  thī  yahī  sharāb
radd-e-amal  banī  to  mukāfāt  ho  ga.ī
ab  shukr  nā-qubūl  hai  shikva  fuzūl  hai
jaise  bhī  ho  ga.ī  basar-auqāt  ho  ga.ī
vo  ḳhush-nasīb  tum  se  mulāqāt  kyuuñ  kare
darbān  hī  se  jis  kī  mudārāt  ho  ga.ī
har  ek  rahnumā  se  bichhaḌnā  paḌā  mujhe
har  moḌ  par  koī  na  koī  ghaat  ho  ga.ī
yāroñ  kī  barhamī  pe  hañsī  aa  ga.ī  'hafīz'
ye  mujh  se  ek  aur  burī  baat  ho  ga.ī