Hafeez Jalandhari

mujhe shad rakhna ki nashad rakhna

Hafeez Jalandhari

Jalandhar, Punjab, India

1900-1982

mujhe shaad rakhnā ki nāshād rakhnā

mire diida o dil ko ābād rakhnā

bhulā.ī nahīñ sakeñgī ye bāteñ

tumheñ yaad ā.eñge ham yaad rakhnā

vo nāshād o barbād rakhte haiñ mujh ko

ilāhī unheñ shaad o ābād rakhnā

tumheñ bhī qasam hai ki jo sar jhukā de

usī ko tah-e-teġh-e-bedād rakhnā

mileñge tumheñ raah meñ but-kade bhī

zarā apne allāh ko yaad rakhnā

jahāñ bhī nashe meñ qadam laḌkhaḌā.eñ

vahīñ ek masjid buniyād rakhnā

sitāroñ pe chalte hue ibn-e-ādam

nazar meñ farishtoñ uftād rakhnā

'hafīz' apne afkār sādgī ko

takalluf uljhan se āzād rakhnā

Top Urdushayar.com