Hafeez Jalandhari

majaz ain-e-haqiqat hai ba-safa ke liye

Hafeez Jalandhari

Jalandhar, Punjab, India

1900-1982
majāz ain-e-haqīqat hai bā-safā ke liye
butoñ ko dekh rahā huuñ magar ḳhudā ke liye
asar meñ ho ga.e kyuuñ saat āsmāñ haa.el
abhī to haath uThe hī nahīñ duā ke liye
huā bas ek hī naale meñ dam fanā apnā
ye tāziyāna thā umr-e-gurez-pā ke liye
ilāhī ek ġham-e-rozgār kyā kam thā
ki ishq bhej diyā jān-e-mubtalā ke liye
hameñ to dāvar-e-mahshar ko chhoḌte hī banī
ḳhatā-e-ishq na kaafī huī sazā ke liye
usī ko raah dikhātā huuñ jo miTā.e mujhe
maiñ huuñ to nuur magar chashm-e-naqsh-e-pā ke liye
ye jāntā huuñ ki hai nisf shab magar saaqī
zarā sī chāhiye ik mard-e-pārsā ke liye
ilāhī tere karam se mile mai o ma.ashūq
ab iltijā hai barastī huī ghaTā ke liye
'hafīz' āzim-e-ka.aba huā hai jaane do
ab us pe rahm karo ai buto ḳhudā ke liye
Top Urdushayar.com