aane  vaale  jaane  vaale  har  zamāne  ke  liye
aadmī  mazdūr  hai  rāheñ  banāne  ke  liye
zindagī  firdaus-e-gum-gashta  ko  pā  saktī  nahīñ
maut  hī  aatī  hai  ye  manzil  dikhāne  ke  liye
merī  peshānī  pe  ik  sajda  to  hai  likkhā  huā
ye  nahīñ  ma.alūm  hai  kis  āstāne  ke  liye
un  kā  va.ada  aur  mujhe  us  par  yaqīñ  ai  ham-nashīñ
ik  bahāna  hai  taḌapne  tilmilāne  ke  liye
jab  se  pahra  zabt  kā  hai  āñ.suoñ  kī  fasl  par
ho  ga.iiñ  muhtāj  āñkheñ  daane  daane  ke  liye
āḳhirī  ummīd  vaqt-e-naza.a  un  kī  diid  thī
maut  ko  bhī  mil  gayā  fiqara  na  aane  ke  liye
allāh  allāh  dost  ko  merī  tabāhī  par  ye  naaz
sū-e-dushman  dekhtā  hai  daad  paane  ke  liye
ne.amat-e-ġham  merā  hissa  mujh  ko  de  de  ai  ḳhudā
jama.a  rakh  merī  ḳhushī  saare  zamāne  ke  liye
nusḳha-e-hastī  meñ  ibrat  ke  sivā  kyā  thā  'hafīz'
surḳhiyāñ  kuchh  mil  ga.iiñ  apne  fasāne  ke  liye