koī  davā  na  de  sake  mashvara-e-duā  diyā
chāragaroñ  ne  aur  bhī  dard  dil  kā  baḌhā  diyā
donoñ  ko  de  ke  sūrateñ  saath  hī  aa.ina  diyā
ishq  bisorne  lagā  husn  ne  muskurā  diyā
zauq-e-nigāh  ke  sivā  shauq-e-gunāh  ke  sivā
mujh  ko  butoñ  se  kyā  milā  mujh  ko  ḳhudā  ne  kyā  diyā
thī  na  ḳhizāñ  kī  rok-thām  dāman-e-iḳhtiyār  meñ
ham  ne  bharī  bahār  meñ  apnā  chaman  luTā  diyā
husn-e-nazar  kī  aabrū  san.at-e-barhaman  se  hai
jis  ko  sanam  banā  liyā  us  ko  ḳhudā  banā  diyā
daaġh  hai  mujh  pe  ishq  kā  merā  gunāh  bhī  to  dekh
us  kī  nigāh  bhī  to  dekh  jis  ne  ye  gul  khilā  diyā
ishq  kī  mamlikat  meñ  hai  shorish-e-aql-e-nā-murād
ubhrā  kahīñ  jo  ye  fasād  dil  ne  vahīñ  dabā  diyā
naqsh-e-vafā  to  maiñ  hī  thā  ab  mujhe  DhūñDte  ho  kyā
harf-e-ġhalat  nazar  paḌā  tum  ne  mujhe  miTā  diyā
ḳhubs-e-darūñ  dikhā  diyā  har  dahan-e-ġhalīz  ne
kuchh  na  kahā  'hafīz'  ne  hañs  diyā  muskurā  diyā