Hafeez Jalandhari

agar mauj hai bich dhaare chala chal

Hafeez Jalandhari

Jalandhar, Punjab, India

1900-1982
agar mauj hai biich dhāre chalā chal
vagarna kināre kināre chalā chal
isī chaal se mere pyāre chalā chal
guzartī hai jaise guzāre chalā chal
tujhe saath denā hai bahrūpiyoñ kā
na.e se nayā ruup dhāre chalā chal
ḳhudā ko na taklīf de Dūbne meñ
kisī nāḳhudā ke sahāre chalā chal
pahuñch jā.eñge qabr meñ paañv tere
pasāre chalā chal pasāre chalā chal
ye uupar kā tabqa ḳhalā hī ḳhalā hai
havā o havas ke ġhubāre chalā chal
Duboyā hai tū ne hayā kā safīna
mire dost siina ubhāre chalā chal
musalsal butoñ kī tamannā kiye jā
musalsal ḳhudā ko pukāre chalā chal
yahāñ to bahr-e-hāl jhuknā paḌegā
nahīñ to kisī aur dvāre chalā chal
tujhe to abhī der tak khelnā hai
isī meñ to hai jiit haare chalā chal
na de fursat-e-dam-zadan o zamāne
na.e se nayā tiir maare chalā chal
shab-e-tār hai ta-ba-sub.h-e-qayāmat
muqaddar hai gardish sitāre chalā chal
kahāñ se chalā thā kahāñ tak chalegā
chalā chal masāfat ke maare chalā chal
basīrat nahīñ hai to sīrat bhī kyuuñ ho
faqat shakl o sūrat sañvāre chalā chal
'hafīz' is na.e daur meñ tujh ko fan kā
nasha hai to pyāre utāre chalā chal
Top Urdushayar.com