agar  mauj  hai  biich  dhāre  chalā  chal
vagarna  kināre  kināre  chalā  chal
isī  chaal  se  mere  pyāre  chalā  chal
guzartī  hai  jaise  guzāre  chalā  chal
tujhe  saath  denā  hai  bahrūpiyoñ  kā
na.e  se  nayā  ruup  dhāre  chalā  chal
ḳhudā  ko  na  taklīf  de  Dūbne  meñ
kisī  nāḳhudā  ke  sahāre  chalā  chal
pahuñch  jā.eñge  qabr  meñ  paañv  tere
pasāre  chalā  chal  pasāre  chalā  chal
ye  uupar  kā  tabqa  ḳhalā  hī  ḳhalā  hai
havā  o  havas  ke  ġhubāre  chalā  chal
Duboyā  hai  tū  ne  hayā  kā  safīna
mire  dost  siina  ubhāre  chalā  chal
musalsal  butoñ  kī  tamannā  kiye  jā
musalsal  ḳhudā  ko  pukāre  chalā  chal
yahāñ  to  bahr-e-hāl  jhuknā  paḌegā
nahīñ  to  kisī  aur  dvāre  chalā  chal
tujhe  to  abhī  der  tak  khelnā  hai
isī  meñ  to  hai  jiit  haare  chalā  chal
na  de  fursat-e-dam-zadan  o  zamāne
na.e  se  nayā  tiir  maare  chalā  chal
shab-e-tār  hai  ta-ba-sub.h-e-qayāmat
muqaddar  hai  gardish  sitāre  chalā  chal
kahāñ  se  chalā  thā  kahāñ  tak  chalegā
chalā  chal  masāfat  ke  maare  chalā  chal
basīrat  nahīñ  hai  to  sīrat  bhī  kyuuñ  ho
faqat  shakl  o  sūrat  sañvāre  chalā  chal
'hafīz'  is  na.e  daur  meñ  tujh  ko  fan  kā
nasha  hai  to  pyāre  utāre  chalā  chal