maz.haka  aao  uḌā.eñ  ishq-e-be-buniyād  kā
ik  judā  madfan  banā.eñ  tesha-e-farhād  kā
vāh-vāh  kyā  rañg  badlā  gulshan-e-ījād  kā
sāya-e-gul  par  gumāñ  hone  lagā  sayyād  kā
bah  chalā  hai  ashk-e-hasrat  al-madad  ai  barq-e-yās
ye  bhī  ik  daana  hai  mere  ḳhirman-e-barbād  kā
kis  nigāh-e-garm  se  dekhā  hai  us  ne  vaqt  qatl
aah  ThanDī  paḌ  ga.ī  dam  ghuT  gayā  fariyād  kā
ġhuncha  ġhuncha  ḳhauf  se  mujh  ko  nazar  aayā  qafas
patte  patte  par  huā  dhokā  kaf-e-saiyād  kā
ye  samajh  liije  kisī  shā.er  ke  dil  kā  TūTnā
TuuT  jaanā  hai  tilism-e-ālam-e-ījād  kā
ho  na  ehsās-e-asīrī  to  rihā.ī  hai  muhāl
aaise  qaidī  naam  tak  lete  nahīñ  mī.ād  kā
zo.af  kī  ye  himmateñ  haiñ  nā-tavānī  kā  ye  zor
TukḌe  TukḌe  kar  diyā  dāman  mirī  fariyād  kā
us  suḳhnavar  se  mujhe  faiz-e-suḳhan  hai  ai  'hafīz'
nām-e-nāmī  hai  girāmī  jis  jahāñ  ustād  kā