Hafeez Jalandhari

ishq ke hathon ye sari aalam-arai hui

Hafeez Jalandhari

Jalandhar, Punjab, India

1900-1982
ishq ke hāthoñ ye saarī ālam-ārā.ī huī
ishq ke hāthoñ qayāmat bhī hai ab aa.ī huī
allāh allāh kyā huā anjām-kār-e-ārzū
tauba tauba kis qadar hañgāma-ārā.ī huī
kyā hai merā hāsil-e-gul-chīnī-e-bāġh-e-jamāl
aarzū kī chand kaliyāñ vo bhī murjhā.ī huī
chhoḌ bhī ye silsila o nā-murād-e-intizār
maut baiThī hai tere bālīñ ye uktā.ī huī
shahr-e-māyūsī meñ ik chhoTī sī ummīd-e-visāl
ajnabī kī shakl meñ phirtī hai ghabrā.ī huī
kar liyā hai aqd urdu-e-muallā se 'hafīz'
qil.a-e-dehlī se aa.ī thī ye Thukrā.ī huī
Top Urdushayar.com