in  gesuoñ  meñ  shāna-e-armāñ  na  kījiye
ḳhūn-e-jigar  se  dāvat-e-mizhgāñ  na  kījiye
mar  jā.iye  na  kījiye  zikr-e-bahisht-o-hūr
ab  ḳhvāb  ko  bhī  ḳhvāb-e-pareshāñ  na  kījiye
baaqī  ho  jo  bhī  hashr  yahīñ  par  uThā.iye
marne  ke  ba.ad  ziist  kā  sāmāñ  na  kījiye
dozaḳh  ko  dījiye  na  parāgandagī  mirī
shīrāza-e-bahisht  pareshāñ  na  kījiye
shāyad  yahī  jahāñ  kisī  majnūñ  kā  ghar  bane
vīrāna  bhī  agar  hai  to  vīrāñ  na  kījiye
kyā  nāḳhudā  baġhair  koī  Dūbtā  nahīñ
mujh  ko  mire  ḳhudā  se  pashemāñ  na  kījiye
hai  but-kade  meñ  bhī  use  īmān  kā  ḳhayāl
kyuuñ  e'tibār-e-mard-e-musalmāñ  na  kījiye
ham  se  ye  bār-e-lutf  uThāyā  na  jā.egā
ehsāñ  ye  kījiye  ki  ye  ehsāñ  na  kījiye
ā.īna  dekhiye  mirī  sūrat  na  dekhiye
maiñ  ā.īna  nahīñ  mujhe  hairāñ  na  kījiye
tū  hī  azīz-e-ḳhātir-e-ahbāb  hai  'hafīz'
kyā  kījiye  agar  tujhe  qurbāñ  na  kījiye