tire  dil  meñ  bhī  haiñ  kudūrateñ  tire  lab  pe  bhī  haiñ  shikāyateñ
mire  dostoñ  kī  navāzisheñ  mire  dushmanoñ  kī  ināyateñ
ye  hai  turfa  sūrat-e-dostī  ki  nigāh-e-dil  hama  barf  haiñ
na  vo  baada  hai  na  vo  zarf  haiñ  na  vo  harf  haiñ  na  hikāyateñ
yahī  rabt-o-zabt-e-ġham-o-alam  tirī  raa.e  meñ  kabhī  ḳhuub  the
vo  yahī  to  mere  uyuub  the  jinheñ  dī  ga.ī  thiiñ  ri.āyateñ
tire  āstāñ  se  kashāñ  kashāñ  liye  jā  rahī  haiñ  kahāñ  kahāñ
mire  nāsehoñ  kī  hidāyateñ  tire  vā.izoñ  kī  rivāyateñ
tirā  naam  lete  hī  ai  ḳhudā  maiñ  sanam-kade  se  nikal  chukā
raheñ  kaash  tā-dar-e-mustafā  mirī  rahnumā  tirī  āyateñ