Hafeez Jalandhari

phir lutf-e-KHalish dene lagi yaad kisi ki

Hafeez Jalandhari

Jalandhar, Punjab, India

1900-1982

phir lutf-e-ḳhalish dene lagī yaad kisī

phir bhuul ga.ī yaad ko be-dād kisī

phir rañj-o-alam ko hai kisī ye ishāra

ujḌī huī bastī karo ābād kisī

phir ḳhat javāb ek vahī tanz misra.a

majbūr hai kyuuñ fitrat-e-āzād kisī

phir de ke ḳhushī ham use nāshād kareñ kyuuñ

ġham se tabī.at hai agar shaad kisī

phir pand-o-nasīhat ke liye aane lage dost

vo dost jo karte nahīñ imdād kisī

phir shahr meñ charchā hai na.ī sañg-zanī

aḳhbār meñ phir darj hai rūdād kisī

phir bāb-e-asar koī rasta nahīñ miltā

phir bhaTkī huī phirtī hai fariyād kisī

phir ḳhaak uḌāte hue phirte haiñ bagūle

phir dasht meñ miTTī huī barbād kisī

phir maiñ bhī karūñ kyuuñ na 'hafīz' is pe tasallut

jāgīr nahīñ tab-e-ḳhudā-dād kisī

Top Urdushayar.com