koī  chārā  nahīñ  duā  ke  sivā
koī  suntā  nahīñ  ḳhudā  ke  sivā
mujh  se  kyā  ho  sakā  vafā  ke  sivā
mujh  ko  miltā  bhī  kyā  sazā  ke  sivā
bar-sar-e-sāhil  murād  yahāñ
koī  ubhrā  hai  nāḳhudā  ke  sivā
koī  bhī  to  dikhāo  manzil  par
jis  ko  dekhā  ho  rahnumā  ke  sivā
dil  sabhī  kuchh  zabān  par  laayā
ik  faqat  arz-e-mudda.ā  ke  sivā
koī  raazī  na  rah  sakā  mujh  se
mere  allāh  tirī  razā  ke  sivā
but-kade  se  chale  ho  kaabe  ko
kyā  milegā  tumheñ  ḳhudā  ke  sivā
dostoñ  ke  ye  muḳhlisāna  tiir
kuchh  nahīñ  merī  hī  ḳhatā  ke  sivā
mehr  o  mah  se  buland  ho  kar  bhī
nazar  aayā  na  kuchh  ḳhalā  ke  sivā
ai  'hafīz'  aah  aah  par  āḳhir
kyā  kaheñ  dost  vaah  vā  ke  sivā