uTho  ab  der  hotī  hai  vahāñ  chal  kar  sañvar  jaanā
yaqīnī  hai  ghaḌī  do  meñ  marīz-e-ġham  kā  mar  jaanā
mujhe  Dar  hai  guloñ  ke  bojh  se  marqad  na  dab  jaa.e
unheñ  aadat  hai  jab  aanā  zarūr  ehsān  dhar  jaanā
habāb  aa  sāmne  sab  valvale  josh-e-javānī  ke
ġhazab  thā  qulzum-e-ummīd  kā  chaḌh  kar  utar  jaanā
yahāñ  juz  kashtī-e-mauj-e-balā  kuchh  bhī  na  pāoge
isī  ke  āsare  dariyā-e-hastī  se  utar  jaanā
mabādā  phir  asīr-e-dām-e-aql-o-hosh  ho  jā.ūñ
junūñ  kā  is  tarah  achchhā  nahīñ  had  se  guzar  jaanā
'hafīz'  āġhāz  se  anjām  tak  rahzan  ne  pahuñchāyā
usī  ko  ham-safar  paayā  usī  ko  ham-safar  jaanā