Hafeez Jalandhari

hai azal ki is ghalat baKHshi pe hairani mujhe

Hafeez Jalandhari

Jalandhar, Punjab, India

1900-1982
hai azal kī is ġhalat baḳhshī pe hairānī mujhe
ishq lā-fānī milā hai zindagī faanī mujhe
maiñ vo bastī huuñ ki yād-e-raftagāñ ke bhes meñ
dekhne aatī hai ab merī hī vīrānī mujhe
thī yahī tamhīd mere mātamī anjām kī
phuul hañste haiñ to hotī hai pashīmānī mujhe
husn be-parda huā jaatā hai yā rab kyā karūñ
ab to karnī hī paḌī dil kī nigahbānī mujhe
bāñdh kar roz-e-azal shīrāza-e-marg-o-hayāt
sauñp dī goyā do aalam kī pareshānī mujhe
pūchhtā phirtā thā dānāoñ se ulfat ke rumūz
yaad ab rah rah ke aatī hai vo nādānī mujhe
Top Urdushayar.com