Ameen Hazin

afsana-e-hayat ko dohra raha hun main

Ameen Hazin

afsāna-e-hayāt ko dohrā rahā huuñ maiñ
yuuñ apnī umr-e-rafta ko lauTā rahā huuñ maiñ
ik ik qadam pe dars-e-vafā de rahā huuñ maiñ
ye kis kī justujū hai kidhar jā rahā huuñ maiñ
yā rab kisī kā dām-e-hasīñ muntazir na ho
par shauq ke lage haiñ uḌā jā rahā huuñ maiñ
is sehr-e-rañg-o-bū ne to dīvāna kar diyā
dāman ke taar taar ko uljhā rahā huuñ maiñ
soz-e-darūn-e-sīna ko naġhmoñ meñ Dhaal kar
sāz-e-nafas ke taar ko barmā rahā huuñ maiñ
rāh-e-talab meñ dekh mire dil kī hasrateñ
saaye meñ pā-e-ḳhizr ko sahlā rahā huuñ maiñ
raste kī uuñch niich se vāqif to huuñ 'amīñ'
Thokar qadam qadam pe magar khā rahā huuñ maiñ
Top Urdushayar.com