Ahsan Yusuf Zai

kaghaz ki naw hun jise tinka Dubo sake

Ahsan Yusuf Zai

kāġhaz kī naav huuñ jise tinkā Dubo sake
yuuñ bhī nahīñ ki aap se ye bhī na ho sake
barsāt tham chukī hai magar har shajar ke paas
itnā to hai ki aap kā dāman bhigo sake
ai chīḳhtī havāo ke sailāb shukriya
itnā to ho ki aadmī suulī pe so sake
dariyā pe band bāñdh kar roko jagah jagah
aisā na ho ki aadmī jī bhar ke ro sake
halkī sī raushnī ke farishte haiñ ās-pās
palkoñ meñ buuñd buuñd jahāñ tak piro sake
Top Urdushayar.com