kuchh  bhī  nahīñ  hai  ḳhaak  ke  āzār  se  pare
dekhā  hai  maiñ  ne  bār-hā  us  paar  se  pare
ik  naqsh  khīñchtā  hai  mujhe  ḳhvāb  se  udhar
ik  dā.era  banā  huā  parkār  se  pare
yā-rab  nigāh-e-shauq  ko  vus.at  nasīb  ho
merī  nazar  pe  baar  hai  dīvār  se  pare
tum  ḳhud  hī  dāstān  badalte  ho  daf.atan
ham  varna  dekhte  nahīñ  kirdār  se  pare
kuchh  lafz  jin  ko  ab  koī  tartīb  chāhiye
guzre  hue  ḳhayāl  ke  iz.hār  se  pare
'āzar'  ab  un  kā  nām-o-nishāñ  mil  nahīñ  rahā
uḌtā  huā  ġhubār  hai  kohsār  se  pare