maiñ  surḳh  phuul  ko  chhū  kar  palaTne  vaalā  thā
vo  jazb  thā  ki  mirā  jism  kaTne  vaalā  thā
us  ek  rañg  se  paidā  huī  ye  qaus-e-quzah
vo  ek  rañg  jo  manzar  se  ha.Tne  vaalā  thā
mire  qarīb  hī  ik  taaq  meñ  kitābeñ  thiiñ
magar  ye  dhyān  kahīñ  aur  baTne  vaalā  thā
ajiib  shaan  se  utrī  thī  dhuup  ḳhvāhish  kī
maiñ  apne  saa.e  se  jaise  lipaTne  vaalā  thā
tavīl  guftugū  hotī  rahī  sitāroñ  se
nigār-ḳhāna-e-hastī  ulaTne  vaalā  thā
zamīñ  pe  āmad-e-ādam  kā  shor  barpā  huā
vagarna  rizq  farishtoñ  meñ  baTne  vaalā  thā
ḳhudā  kā  shukr  hai  nashsha  utar  gayā  merā
ki  maiñ  subū  meñ  samundar  ulaTne  vaalā  thā
lapak  rahī  thī  koī  aag  is  taraf  'āzar'
maiñ  us  se  duur  bahut  duur  ha.Tne  vaalā  thā