banā  rahā  thā  koī  aab  o  ḳhaak  se  kuchh  aur
uThā  liyā  phir  achānak  hī  chaak  se  kuchh  aur
jalā  ke  baiTh  gayā  maiñ  vo  āḳhirī  tasvīr
to  naqsh  ubharne  lage  us  kī  raakh  se  kuchh  aur
bas  apne  aap  se  kuchh  der  ham-kalām  raho
nahīñ  hai  fā.eda  hijr  o  firāq  se  kuchh  aur
hamārī  faal  hamāre  hī  haath  se  niklī
banā  hai  zā.icha  par  ittifāq  se  kuchh  aur
vahī  sitāra-numā  ik  charāġh  hai  'āzar'
mirā  ḳhayāl  thā  niklegā  taaq  se  kuchh  aur