ḳhud  apnī  aag  meñ  saare  charāġh  jalte  haiñ
ye  kis  havā  se  hamāre  charāġh  jalte  haiñ
jahāñ  utartā  hai  vo  māhtāb  paanī  meñ
vahīñ  kināre  kināre  charāġh  jalte  haiñ
tamām  raushnī  sūraj  se  musta.ār  nahīñ
kahīñ  kahīñ  to  hamāre  charāġh  jalte  haiñ
tumhārā  aks  hai  yā  āftāb  kā  partav
ye  ḳhāl-o-ḳhad  haiñ  ki  pyāre  charāġh  jalte  haiñ
ajiib  raat  utārī  ga.ī  mohabbat  par
hamārī  āñkheñ  tumhāre  charāġh  jalte  haiñ
mirī  nigāh  se  raushan  nigār-ḳhāna-e-husn
mire  lahū  ke  sahāre  charāġh  jalte  haiñ
na  jaane  kaun  sī  manzil  hai  muntazir  'āzar'
ki  rahguzar  meñ  sitāre  charāġh  jalte  haiñ