yuuñ  dīda-e-ḳhūñ-bār  ke  manzar  se  uThā  maiñ
tūfān  uThā  mujh  meñ  samundar  se  uThā  maiñ
uThne  ke  liye  qasd  kiyā  maiñ  ne  balā  kā
ab  log  ye  kahte  haiñ  muqaddar  se  uThā  maiñ
pahle  to  ḳhad-o-ḳhāl  banā.e  sar-e-qirtās
phir  apne  ḳhad-o-ḳhāl  ke  andar  se  uThā  maiñ
ik  aur  tarah  mujh  pe  khulī  chashm-e-tamāshā
ik  aur  tajallī  ke  barābar  se  uThā  maiñ
hai  terī  mirī  zaat  kī  yaktā.ī  barābar
ġhā.eb  se  to  ubhrā  to  mayassar  se  uThā  maiñ
kyā  jaane  kahāñ  jaane  kī  jaldī  thī  dam-e-fajr
sūraj  se  zarā  pahle  hī  bistar  se  uThā  maiñ
pathrāne  lage  the  mire  a.asāb  koī  dam
ḳhāmosh  nigāhoñ  ke  barābar  se  uThā  maiñ
ik  aag  mire  jism  meñ  mahfūz  thī  'āzar'
ḳhas-ḳhāna-e-zulmāt  ke  andar  se  uThā  maiñ