niind  meñ  khulte  hue  ḳhvāb  kī  uryānī  par
maiñ  ne  bosa  diyā  mahtāb  kī  peshānī  par
is  qabīle  meñ  koī  ishq  se  vāqif  hī  nahīñ
log  hañste  haiñ  mirī  chāk-girebānī  par
nazar  aatī  hai  tujh  aisoñ  ko  shabāhat  apnī
maiñ  ne  tasvīr  banā.ī  thī  kabhī  paanī  par
ham  faqīroñ  ko  isī  ḳhaak  se  nisbat  hai  bahut
ham  na  baiTheñge  tire  taḳht-e-sulaimānī  par
us  se  kuchh  ḳhaas  ta.alluq  bhī  nahīñ  hai  apnā
maiñ  pareshān  huā  jis  kī  pareshānī  par
paas  hai  lafz  kī  hurmat  kā  vagarna  'āzar'
koī  tamġha  to  nahīñ  miltā  ġhazal-ḳhvānī  par