ḳhud  meñ  khilte  hue  manzar  se  numūdār  huā
vo  jazīra  jo  samundar  se  numūdār  huā
merī  tanhā.ī  ne  paidā  kiye  saa.e  ghar  meñ
koī  dīvār  koī  dar  se  numūdār  huā
chāroñ  atrāf  mire  aa.ine  rakkhe  ga.e  the
maiñ  hī  maiñ  apne  barābar  se  numūdār  huā
aaj  kī  raat  guzārī  hai  diye  ne  mujh  meñ
aaj  kā  din  mire  andar  se  numūdār  huā
kyā  ajab  naqsh  hai  vo  naqsh  jo  is  duniyā  ke
kahīñ  andar  kahīñ  bāhar  se  numūdār  huā
ek  sho.ale  kī  lapak  nuur  meñ  Dhal  kar  aa.ī
ek  kirdār  bahattar  se  numūdār  huā
haq  kī  pahchān  huī  ḳhalq  ko  'āzar'  us  vaqt
jab  alī  aap  ke  bistar  se  numūdār  huā