duur  ke  ek  nazāre  se  nikal  kar  aa.ī
raushnī  mujh  meñ  sitāre  se  nikal  kar  aa.ī
jis  ne  kashtī  ko  Duboyā  sar-o-sāmān  samet
vo  ghanī  mauj  kināre  se  nikal  kar  aa.ī
raakh  jhāḌī  jo  badan  kī  to  achānak  bāhar
aag  hī  aag  sharāre  se  nikal  kar  aa.ī
peḌ  mab.hūt  hue  dekh  ke  is  manzar  ko
dhuup  jab  us  ke  ishāre  se  nikal  kar  aa.ī
aañkh  meñ  ashk  riyāzat  se  huā  hai  paidā
ye  namī  vaqt  ke  dhāre  se  nikal  kar  aa.ī
kaun  takiya  kare  mahtāb  kī  us  raushnī  par
sāmne  bhī  jo  sahāre  se  nikal  kar  aa.ī
ḳhud  bhī  hairān  huuñ  ye  soch  ke  'āzar'  ab  tak
zindagī  kaise  ḳhasāre  se  nikal  kar  aa.ī