mujh  ko  jahāñ  meñ  koī  dil-ārā  nahīñ  milā
maiñ  ḳhud  bhī  apne  ġham  kā  shanāsā  nahīñ  milā
apnī  talab  ke  apnī  ġharaz  ke  mile  haiñ  log
merī  talab  ko  dekhne  vaalā  nahīñ  milā
phirtā  rahā  huuñ  kū-e-vafā  meñ  tamām  umr
lekin  kahīñ  bhī  koī  shanāsā  nahīñ  milā
mere  uyuub  par  rahī  har  shaḳhs  kī  nigāh
koī  hunar  ko  dekhne  vaalā  nahīñ  milā
ḳhanjar-ba-kaf  to  log  mile  har  jagah  magar
marham-ba-dast  koī  masīhā  nahīñ  milā
ye  bhī  huā  ki  maiñ  ne  jo  sochā  nahīñ  huā
ye  bhī  huā  ki  dil  ne  jo  chāhā  nahīñ  milā
milne  ga.e  the  raat  ko  'shaukat'  se  ham  magar
thā  vo  hujūm-e-fikr  meñ  tanhā  nahīñ  milā