ġham  kī  añdherī  rāhoñ  meñ  to  tum  bhī  nahīñ  kaam  aao  ho
kyuuñ  be-kār  karo  ho  hujjat  aage  baat  baḌhāo  ho
kyuuñ  tham  tham  kar  qadam  rakho  ho  kyuuñ  itnā  ghabrāo  ho
raat  kā  sannāTā  hai  maiñ  huuñ  tum  kis  se  sharmāo  ho
aao  apne  haath  meñ  le  kar  haath  hamārā  dekho  to
ham  ne  sunā  hai  tum  sab  kī  qismat  kā  haal  batāo  ho
pahle  pahar  jab  aa  na  sake  tum  āḳhir-e-shab  kī  fikr  hī  kyā
ab  to  dil  hī  sulag  uTThā  hai  ab  kyuuñ  diyā  jalāo  ho
ik  dastūr  sahī  duniyā  kā  zaḳhmoñ  par  lafzoñ  kā  Dher
ai  logo  kuchh  samjho  bhī  ho  jo  mujh  ko  samjhāo  ho
shaam  nahīñ  Dhaltī  kisī  sūrat  raat  nahīñ  kaTtī  kisī  taur
ab  to  bahut  dil  ghabrā.e  hai  ab  to  bahut  yaad  aao  ho
haiñ  ahbāb  bhī  ik  sarmāya  lekin  ye  bhī  yaad  rahe
utnī  hī  aañch  lagegī  'shaukat'  jitnā  tez  alaav  ho