hasrateñ  ban  kar  nigāhoñ  se  baras  jā.eñge  ham
ek  din  aa.egā  jab  un  ko  bhī  yaad  ā.eñge  ham
chāñdnī  ban  kar  kabhī  dāman  pe  lahrā.eñge  ham
ban  ke  aañsū  gaah  palkoñ  par  Thahar  jā.eñge  ham
shaam  ko  jām-e-masarrat  bhar  ke  chalkā.eñge  ham
sub.h  ko  daur-e-charāġh-e-bazm  ban  jā.eñge  ham
phir  kahāñ  pā.eñge  ham  ko  nau-urūsān-e-chaman
jab  fazā-e-rañg-o-bū  meñ  jazb  ho  jā.eñge  ham
TuuT  jā.egā  ġhurūr-e-bahr-e-nā-paidā-kanār
is  tarah  biphrī  huī  maujoñ  se  Takrā.eñge  ham
jab  zamāna  ḳhud  hī  dhokā  ban  gayā  'shaukat'  to  phir
kaun  jaane  kis  qadar  dhoke  abhī  khā.eñge  ham