mere  mahbūb  mire  dil  ko  jalāyā  na  karo
saaz  chheḌā  na  karo  giit  sunāyā  na  karo
jaao  ābād  karo  apnī  tamannāoñ  ko
mujh  ko  mahfil  kā  tamāshā.ī  banāyā  na  karo
merī  rāhoñ  meñ  jo  kāñTe  haiñ  to  kyuuñ  phuul  mileñ
mere  dāman  ko  ulajhne  do  chhuḌāyā  na  karo
tum  ne  achchhā  hī  kiyā  saath  hamārā  na  diyā
bujh  chuke  haiñ  jo  diye  un  ko  jalāyā  na  karo
mere  jaisā  koī  pāgal  na  kahīñ  mil  jaa.e
tum  kisī  moḌ  pe  tanhā  kabhī  jaayā  na  karo
ye  to  duniyā  hai  sabhī  qism  ke  haiñ  log  yahāñ
har  kisī  ke  liye  tum  aañkh  bichhāyā  na  karo
zahr-e-ġham  pī  ke  bhī  kuchh  log  jiyā  karte  haiñ
un  ko  chheḌā  na  karo  un  ko  satāyā  na  karo