hausle  kī  kamī  se  Dartā  huuñ
duur  kī  raushnī  se  Dartā  huuñ
dekh  kar  bastiyoñ  kī  vīrānī
ab  to  har  aadmī  se  Dartā  huuñ
aql  tāroñ  ko  chhū  ke  aatī  hai
aur  maiñ  chāñdnī  se  Dartā  huuñ
pahle  Dartā  thā  tīrgī  se  maiñ
aur  ab  raushnī  se  Dartā  huuñ
merī  bechārgī  to  ye  bhī  hai
aap  kī  dostī  se  Dartā  huuñ
ye  bhī  ik  phāñs  bin  na  jaa.e  kahīñ
ġham  kī  āsūdgī  se  Dartā  huuñ
terī  zulfoñ  kī  chhāñv  meñ  rah  kar
aane  vaalī  ḳhushī  se  Dartā  huuñ
tum  to  tark-e-vafā  bhī  kar  loge
aur  meñ  us  ghaḌī  se  Dartā  huuñ
be-ġharaz  kaun  hai  ki  ai  'shaukat'
maiñ  ye  kah  duuñ  usī  se  Dartā  huuñ