zindagī  kā  safar  ḳhatm  hotā  rahā  tum  mujhe  dam-ba-dam  yaad  aate  rahe
merī  vīrān  palkoñ  pe  din  Dhalte  hī  kuchh  sitāre  magar  jagmagāte  rahe
luT  ga.ī  zindagī  bujh  ga.e  diip  bhī  duur  tak  phir  na  baaqī  rahī  raushnī
is  añdhere  meñ  bhī  ham  tirī  yaad  se  apnī  vīrān  mahfil  sajāte  rahe
tum  se  bichhḌe  hue  ek  muddat  huī  din  guzartā  rahā  vaqt  Taltā  rahā
shaam  aatī  rahī  dil  dhaḌaktā  rahā  ham  charāġh-e-mohabbat  jalāte  rahe
ek  tum  hī  na  the  varna  har  chiiz  thī  chāñd  ke  saath  thī  raat  kī  dil-kashī
saaz  bajtā  rahā  lai  ubhartī  rahī  raqs  hotā  rahā  log  gaate  rahe
yuuñ  na  koī  jiye  jis  tarah  ham  jiye  zindagī  bhar  kisī  ko  na  apnā  sake
bevafā.ī  mirā  dil  jalātī  rahī  pyaar  ke  naam  par  choT  khāte  rahe