jagmagātī  ḳhvāhishoñ  kā  nuur  phailā  raat  bhar
sehn-e-dil  meñ  vo  gul-e-mahtāb  bikhrā  raat  bhar
ek  bhūlā  vāqi.a  jab  daf.atan  yaad  aa  gayā
ātish-e-zauq-e-talab  ne  phir  jalāyā  raat  bhar
dostoñ  ke  saath  din  meñ  baiTh  kar  hañstā  rahā
apne  kamre  meñ  vo  jā  kar  ḳhuub  royā  raat  bhar
niiñd  ke  sahrā  meñ  paanī  kī  tarah  gum  ho  gayā
maiñ  ne  us  ko  ḳhvāb  meñ  har  samt  DhūñDā  raat  bhar
dhuup  ke  bādal  baras  kar  jā  chuke  the  aur  maiñ
oḌh  kar  shabnam  kī  chādar  chhat  pe  soyā  raat  bhar
niiñd  kī  komal  fasīleñ  āñdhiyoñ  meñ  bah  ga.iiñ
maiñ  ne  apne  ḳhvāb  kī  lāshoñ  ko  Dhoyā  raat  bhar
narm  bistar  par  shikan  kī  kirchiyāñ  bikhrī  rahīñ
maiñ  ne  'aslam'  ik  ajab  sā  ḳhvāb  dekhā  raat  bhar