kise  hai  lauh-e-vaqt  par  davām  sochte  rahe
likhe  hue  the  kaise  kaise  naam  sochte  rahe
rah-e-hayāt  meñ  rukā  hai  kaun  kitnī  der  ko?
musāfiroñ  kā  vaqfa-e-qayām  sochte  rahe
kise  ḳhabar  hai  jalva-gāh-e-yār  tak  pahuñchne  ko
siyāh  kitne  paḌte  haiñ  maqām  sochte  rahe
ujaḌ  ke  dil  basā  nahīñ  bichhaḌ  ke  vo  milā  nahīñ
azaab  hai  ki  hijr  sub.h-o-shām  sochte  rahe
abhī  talak  bashāratoñ  kī  guuñj  hai  ḳhayāl  meñ
ye  kaun  ḳhvāb  meñ  thā  ham-kalām  sochte  rahe
jo  milā  thā  rāste  meñ  kyā  batā.eñ  kaun  thaa?
vo  yaad  aa  gayā  to  us  kā  naam  sochte  rahe
kuchh  aise  be-ḳhabar  na  the  shikāriyoñ  kī  chaal  se
jab  aa  ga.e  tuyūr  zer-e-dām  sochte  rahe
'rashīd'  saarī  umr  isī  ḳhayāl  meñ  guzar  ga.ī
ki  zālimoñ  se  leñge  intiqām  sochte  rahe