Andaleeb Shadani

kya kahiye ru-e-husn pe aalam naqab ka

Andaleeb Shadani

Sambhal, Uttar pradesh, India

1904-1969
kyā kahiye rū-e-husn pe aalam naqāb kā
muñh par liyā hai mahr ne dāman sahāb kā
tasvīr maiñ ne māñgī thī shoḳhī to dekhiye
ik phuul us ne bhej diyā hai gulāb kā
ab kyā sunā.eñ TuuTe hue dil kī dāstāñ
āhañg be-maza hai shikasta raubāb kā
itne fareb khaa.e haiñ dil ne ki ab mujhe
hotā hai jū-e-āb pe dhokā sarāb kā
tum chāñdnī ho phuul ho naġhma ho sher ho
allāh-re husn-e-zauq mire intiḳhāb kā
allāh bolte nahīñ to muskurā hī do
maiñ kab se muntazir huuñ tumhāre javāb kā
sab vāqi.āt haiñ magar allāh-re inqalāb
aaj un pe hai gumāñ kasī rañgīn ḳhvāb kā
Top Urdushayar.com