hamārī  yaad  unheñ  aa  ga.ī  to  kyā  hogā
ghaTā  idhar  kī  udhar  chhā  ga.ī  to  kyā  hogā
abhī  to  bazm  meñ  qaa.em  hai  do  diloñ  kā  bharam
nazar  nazar  se  jo  Takrā  ga.ī  to  kyā  hogā
dhaḌak  rahā  hai  sar-e-shām  hī  se  dil  kam-baḳht
visāl-e-yār  kī  sub.h  aa  ga.ī  to  kyā  hogā
ye  sochtā  huuñ  ki  dil  kī  udaas  galiyoñ  se
tumhārī  yaad  bhī  katrā  ga.ī  to  kyā  hogā
surūr  aa  gayā  rindoñ  ko  dekhte  hī  subū
jo  mai-kade  pe  ghaTā  chhā  ga.ī  to  kyā  hogā
vo  baat  jis  se  dhuāñ  uTh  rahā  hai  siine  se
vo  baat  lab  pe  agar  aa  ga.ī  to  kyā  hogā
vafā  kā  dam  na  bharo  dosto  tum  'aslam'  se
tumheñ  jo  vaqt  pe  jhuTlā  ga.ī  to  kyā  hogā