har-sū  dhueñ  kā  raqs  hai  aaj  apne  gaañv  meñ
jalte  lahū  kī  bū  hai  sisaktī  havāoñ  meñ
manzar  ko  dekhte  hī  vo  behosh  ho  gayā
jhāñkā  jo  us  ne  ruuh  kī  andhī  guphāoñ  meñ
bistar  pe  pichhlī  raat  ajab  mājrā  huā
āñkheñ  thiiñ  band  uḌtā  rahā  maiñ  ḳhalāoñ  meñ
sāhil  kī  ret  par  maiñ  khaḌā  sochtā  rahā
uljhā  thā  merā  zehn  nadī  kī  havāoñ  meñ
yuuñ  to  musāfiroñ  kī  nahīñ  hai  kamī  yahāñ
Thahrā  nahīñ  magar  koī  dil  kī  sarāoñ  meñ