rāsta  sunsān  thā  to  muḌ  ke  dekhā  kyuuñ  nahīñ
mujh  ko  tanhā  dekh  kar  us  ne  pukārā  kyuuñ  nahīñ
dhuup  kī  āġhosh  meñ  leTā  rahā  maiñ  umr  bhar
mehrbāñ  thā  vo  to  misl-e-abr  aayā  kyuuñ  nahīñ
ek  panchhī  der  tak  sāhil  pe  mañDlātā  rahā
muztarib  thā  pyaas  se  lekin  vo  utrā  kyuuñ  nahīñ
qurb  kī  qaus-e-quzah  kamre  meñ  bikhrī  thī  magar
raat  bhar  rañg-e-tamannā  phir  bhī  nikhrā  kyuuñ  nahīñ
mujh  ko  patthar  meñ  badalte  chāhe  ḳhud  ban  jaate  vo  mom
ḳhvāhish-e-tifl-e-tamannā  ko  jagāyā  kyuuñ  nahīñ
us  ko  tanhā  pā  ke  'aslam'  raat  apne  room  meñ
qatra-e-ḳhūn-e-havas  ā.ankhoñ  meñ  aayā  kyuuñ  nahīñ