Sabir Zafar

kaam itni hi faqat rahguzar aaegi

Sabir Zafar

1949
kaam itnī hī faqat rāhguzar aa.egī
ham-safar jā.egā aur yād-e-safar aa.egī
duur tak ek ḳhalā hai so ḳhalā ke andar
sirf tanhā.ī kī sūrat hī nazar aa.egī
maiñ ne sochā thā magar ye to nahīñ sochā thā
tīrgī ruuh ke āñgan meñ utar aa.egī
jāgne vaalā koī soyā hamesha ke liye
ab to mātam hī karegī jo sahar aa.egī
ik ajab bū-e-nafas aatī hai dīvāroñ se
aur kuchh roz meñ ye bhī na idhar aa.egī
haa.e kyā log the zindāñ meñ bhī ham se pahle
ik din is yaad kī sūrat bhī bikhar aa.egī
paḌh rahā huuñ maiñ 'zafar' us ke bichhaḌne kī ḳhabar
aur kuchh roz meñ apnī bhī ḳhabar aa.egī
Top Urdushayar.com