kaam  itnī  hī  faqat  rāhguzar  aa.egī
ham-safar  jā.egā  aur  yād-e-safar  aa.egī
duur  tak  ek  ḳhalā  hai  so  ḳhalā  ke  andar
sirf  tanhā.ī  kī  sūrat  hī  nazar  aa.egī
maiñ  ne  sochā  thā  magar  ye  to  nahīñ  sochā  thā
tīrgī  ruuh  ke  āñgan  meñ  utar  aa.egī
jāgne  vaalā  koī  soyā  hamesha  ke  liye
ab  to  mātam  hī  karegī  jo  sahar  aa.egī
ik  ajab  bū-e-nafas  aatī  hai  dīvāroñ  se
aur  kuchh  roz  meñ  ye  bhī  na  idhar  aa.egī
haa.e  kyā  log  the  zindāñ  meñ  bhī  ham  se  pahle
ik  din  is  yaad  kī  sūrat  bhī  bikhar  aa.egī
paḌh  rahā  huuñ  maiñ  'zafar'  us  ke  bichhaḌne  kī  ḳhabar
aur  kuchh  roz  meñ  apnī  bhī  ḳhabar  aa.egī