shahr-e-ḳhūbāñ  se  jo  ham  ab  bhī  guzar  aate  haiñ
kitne  dhundlā.e  hue  naqsh  ubhar  aate  haiñ
raat  jā  chhuptī  hai  sunsān  jazīroñ  meñ  kahīñ
raat  ke  ḳhvāb  mirī  ruuh  meñ  dar  aate  haiñ
sehr-andāz  hai  kyā  nīm-nigāhī  terī
ek  se  kāfir-o-dīñ-dār  nazar  aate  haiñ
kis  ko  sach  kahiyegā  kis  ruup  ko  jhuTlā.iyegā
aa.ine  meñ  to  ka.ī  aks  utar  aate  haiñ
ek  muddat  se  haiñ  is  shahr  meñ  ham  āvāra
bām-o-dar  aaj  bhī  anjān  nazar  aate  haiñ
vo  bulāte  to  haiñ  'shāhīn'  sar-e-bām  magar
ham  hī  kuchh  soch  ke  zīnoñ  se  utar  aate  haiñ