ḳhāk-e-dil  kahkashāñ  se  miltī  hai
ye  zamīñ  āsmāñ  se  miltī  hai
haath  aatī  nahīñ  kabhī  duniyā
aur  kabhī  har  dukāñ  se  miltī  hai
ham  ko  aksar  gunāh  kī  taufīq
hujjat-e-qudsiyāñ  se  miltī  hai
dil  ko  īmān  jānñe  vaale
daulat-e-dil  kahāñ  se  miltī  hai
māvārā-e-suḳhan  hai  jo  tauqīr
ik  kaḌe  imtihāñ  se  miltī  hai
intihā  ye  ki  merī  hadd-e-safar
manzil-e-gumrahāñ  se  miltī  hai
har  sitāra  lahūluhān  mirā
ye  jabīñ  āsmāñ  se  miltī  hai
kunj-e-gul  kī  ḳhabar  darīche  ko
ab  to  bād-e-ḳhizāñ  se  miltī  hai
sahl  'shāhīn'  ye  hunar  to  nahīñ
shā.irī  naqd-e-jāñ  se  miltī  hai