ik  lau  thī  mire  ḳhuun  meñ  tahlīl  to  ye  thī
ik  barq  sī  rau  thī  mirī  qindīl  to  ye  thī
tere  ruḳh-e-ḳhāmosh  se  merī  rag-e-jāñ  tak
jo  kaam  kiyā  aañkh  ne  tarsīl  to  ye  thī
banñā  thā  to  bantā  na  farishta  na  ḳhudā  maiñ
insān  hī  bantā  mirī  takmīl  to  ye  thī
sāñpoñ  ke  tasallut  meñ  the  chiḌiyoñ  ke  basere
maftūh  gharāne!  tirī  tamsīl  to  ye  thī
Tiile  kā  khañDar  sadiyoñ  kī  tārīḳh  liye  thā
ijmāl  batātā  thā  ki  tafsīl  to  ye  thī
vo  jāntā  thā  sajda  faqat  tujh  ko  ravā  hai
palTā  na  phir  is  hukm  se  ta.amīl  to  ye  thī
ik  ḳhvāb  dhuñdlakoñ  meñ  bikhartā  huā  'kausar'
āḳhir  ruḳh-e-ta.abīr  kī  tashkīl  to  ye  thī