maiñ  dar  pe  tire  dar-ba-darī  se  nikal  aayā
chal  kar  ba-durustī  ġhalatī  se  nikal  aayā
ab  mas.ala  ye  hai  tire  mahvar  meñ  kab  utrūñ
maiñ  apnī  hadoñ  se  to  kabhī  se  nikal  aayā
kab  mujh  ko  nikalnā  thā  ye  hairat  hai  falak  ko
maidān-e-zamīñ  meñ  maiñ  abhī  se  nikal  aayā
is  tīra-shabī  meñ  kisī  jugnū  kī  chamak  hai
yā  jugnū  ḳhud  is  tīra-shabī  se  nikal  aayā
ai  arsh-e-mo.allā  ke  makīñ  tujh  ko  ḳhabar  hai
maiñ  terī  taraf  be-ḳhabarī  se  nikal  aayā
dhyān  aayā  mujhe  raat  kī  tanhā-safarī  kā
yak-dam  koī  saaya  sā  galī  se  nikal  aayā
sau  pech-e-rah-e-rāhbarī  thā  ki  maiñ  jis  se
apne  hunar-e-rāhravī  se  nikal  aayā
vo  lamha-e-avval  ki  tū  jab  aañkh  meñ  utrā
vo  vaqt  bhī  kyā  thā  ki  ghaḌī  se  nikal  aayā