abhī  mirā  āftāb  ufuq  kī  hudūd  se  āshnā  nahīñ  hai
mirī  bhī  shab  kī  sahar  hai  lekin  numūd  se  āshnā  nahīñ  hai
khule  kisī  ke  shu.ūr  par  to  mujhe  bhī  us  kā  surāġh  de  de
ki  merā  jauhar  hunūz  apne  vajūd  se  āshnā  nahīñ  hai
ġhazab  hai  fitrat  kā  dasht-o-kohsār  meñ  navā-e-sukūt  bharnā
magar  vo  kyā  sun  sakegā  jo  is  surūd  se  āshnā  nahīñ  hai
maiñ  kis  gumāñ  par  kahūñ  zamāne  meñ  merā  āġhāz  ho  chukā  hai
ki  merā  lamha  abhī  tak  apne  varūd  se  āshnā  nahīñ  hai
ḳhabar  nahīñ  kārobār-e-ulfat  meñ  jā  rahī  hai  kidhar  tabī.at
ziyāñ  se  rakhtī  nahīñ  ta.āruf  ki  suud  se  āshnā  nahīñ  hai
dilā  rahā  huuñ  maiñ  us  ko  ehsās  us  kī  pahlī  rafāqatoñ  kā
jo  aaj  'iqbāl'  merī  būd-o-nabūd  se  āshnā  nahīñ  hai