Iqbal Kausar

garmi-e-KHun uljhe lagi aaKHiri munjamid pahr se

Iqbal Kausar

garmī-e-ḳhūñ uljhe lagī āḳhirī munjamid pahr se

dekhiye ab guzarte haiñ ham kis qayāmat ke shab-e-shahr se

yuuñ lage dard-baḳhshīda ibtidā bhī ik intihā

sañg chāTe lab-e-ishtihā pyaas bujhtī nahīñ zahr se

muntazir aañkh ke des meñ koī chhuTTī bhī aayā nahīñ

kaun āfiyyat-e-dostāñ lā.egā dūsre shahar se

mere andar nā-puḳhtagī jism bāhar ke bhī Dah ga.ī

ghar ke ghar zer-e-āb aa ga.e ik shigāfī huī nahr se

merī raa.e meñ 'iqbāl' vo nasl duniyā meñ hai aur nahīñ

jis ne baḳhshā na kuchh vaqt ko jis ne paayā na kuchh dahr se

Top Urdushayar.com