kabhī  aa.ine  sā  bhī  sochnā  mujhe  aa  gayā
mirā  dil  ke  biich  hī  TūTnā  mujhe  aa  gayā
tirī  pahlī  diid  ke  saath  hī  vo  fusūñ  bhī  thā
tujhe  dekh  kar  tujhe  dekhnā  mujhe  aa  gayā
koī  gahre  niil  sā  sehr  hai  tirī  aañkh  meñ
ye  vo  jhiil  hai  jahāñ  Dūbnā  mujhe  aa  gayā
mujhe  kyā  jo  ho  koī  lai  meñ  sher  meñ  rañg  meñ
mirā  dukh  ye  hai  use  DhūñDnā  mujhe  aa  gayā
ki  adā-e-yār  pe  munhasir  mirī  chaal  thī
kahīñ  jītnā  kahīñ  hārnā  mujhe  aa  gayā
jahāñ  fart-e-mastī  meñ  kaj-qadam  the  saman-barāñ
koī  gir  rahā  thā  to  thāmnā  mujhe  aa  gayā
baḌe  kaam  kī  thī  jo  guftugū  rahī  rū-ba-rū
tū  na  jaan,  par  tujhe  jānñā  mujhe  aa  gayā