agarche  mujh  ko  be-tauq-o-rasan-basta  nahīñ  chhoḌā
kisī  qaidī  ko  us  ne  is  qadar  sastā  nahīñ  chhoḌā
har  ik  se  dūsre  kā  rabt  us  ne  toḌ  Daalā  hai
kisī  kā  dil  kisī  ke  dil  se  vābasta  nahīñ  chhoḌā
ḳhud  apne  ḳhvāb  chun  aayā  huuñ  kuchh  rañgīn  dhokoñ  meñ
kisī  titlī  kī  ḳhātir  maiñ  ne  guldasta  nahīñ  chhoḌā
suneñ  rūdād-e-ġham  kis  se  ki  āshob-e-tabāhī  ne
koī  ik  bhī  gharānā  shahr  meñ  bastā  nahīñ  chhoḌā
kaheñ  kyā  haal  qabroñ  kā  ki  ab  ke  us  ne  bastī  meñ
janāze  bhī  guzarne  kā  koī  rasta  nahīñ  chhoḌā
kahāñ  par  us  ne  mujh  par  tāliyāñ  bajtī  nahīñ  chāheñ
kahāñ  kis  kis  ko  mere  haal  par  hañstā  nahīñ  chhoḌā